Koi Rishta Na Ho Phir Bhi Rishte Bahut
koi rishta na ho phir bhi rishte bahut
aap apne nahin aap apne bahut
raaz rakhte na hum is talluq ko gar
log rote bahut log hanste bahut
dil ki tanhaiyon ka mudawa nahin
ghum kar hum ne dekhe hain mele bahut
is hi buniyaad par kyun na mil jaen hum
aap tanha bahut hum akele bahut
jab thi manzil nazar mein to rasta tha ek
gum hui hai jo manzil to raste bahut
KHwab tabir ke moD par kho gae
yun ki tabir-dan paD ke soe bahut
peD ko kaTne wale dekhen zara
peD par hain bane aashiyane bahut
Dubne wale shayad ye batla saken
Dubne ko sahaare ke tinke bahut
(1389) Peoples Rate This