Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_34c3fedf5a854dfd03b16a92ecbabd54, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ek Sail-e-be-panah Ki Surat Rawan Hai Waqt - Abdullah Javed Poetry In English - Darsaal

Ek Sail-e-be-panah Ki Surat Rawan Hai Waqt

ek sail-e-be-panah ki surat rawan hai waqt

tinke samajh rahe hain ki wahm-o-guman hai waqt

parkho to jaise tegh-e-do-dam hai khinchi hui

Talo to ek uDta hua sa dhuan hai waqt

jo dil hadaf hua ho wo shayad bata sake

nawak bhi aap aap hi chaDhti kaman hai waqt

hum us ke sath hain ki wo hai apne sath sath

kis ko KHabar ki hum hain rawan ya rawan hai waqt

tariKH kya hai waqt ke qadmon ki gard hai

qaumon ke auj-o-past ki ek dastan hai waqt

agle suKHan-waron ne jise aasman kaha

sach puchhiye to aaj wahi aasman hai waqt

hamdam nahin rafiq nahin ham-nawa nahin

lekin hamara sab se baDa raazdan hai waqt

kal kaenat apne jilau mein liye hue

'jawed' hast-o-bud ka ek karwan hai waqt

(1216) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Sail-e-be-panah Ki Surat Rawan Hai Waqt In English By Famous Poet Abdullah Javed. Ek Sail-e-be-panah Ki Surat Rawan Hai Waqt is written by Abdullah Javed. Read famous Poem Ek Sail-e-be-panah Ki Surat Rawan Hai Waqt for youth and Student by Abdullah Javed. Free Download Ek Sail-e-be-panah Ki Surat Rawan Hai Waqt in PDF.