Chandni Ka Raqs Dariya Par Nahin Dekha Gaya

chandni ka raqs dariya par nahin dekha gaya

aap yaad aae to ye manzar nahin dekha gaya

aap ke jate hi hum ko lag gai aawargi

aap ke jate hi hum se ghar nahin dekha gaya

apni sari kaj-kulahi dastan ho kar rahi

ishq jab mazhab kiya to sar nahin dekha gaya

phul ko miTTi mein milta dekh kar miTTi hue

hum se koi phul miTTi par nahin dekha gaya

jism ke andar safar mein ruh tak pahunche magar

ruh ke bahar rahe andar nahin dekha gaya

jis gada ne aap ke dar par sada di ek bar

us gada ko phir kisi dar par nahin dekha gaya

aap ko patthar lage 'jawed' ji dekha hai ye

aap ke hathon mein go patthar nahin dekha gaya

(1682) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chandni Ka Raqs Dariya Par Nahin Dekha Gaya In English By Famous Poet Abdullah Javed. Chandni Ka Raqs Dariya Par Nahin Dekha Gaya is written by Abdullah Javed. Read famous Poem Chandni Ka Raqs Dariya Par Nahin Dekha Gaya for youth and Student by Abdullah Javed. Free Download Chandni Ka Raqs Dariya Par Nahin Dekha Gaya in PDF.