Chamka Jo Chand Raat Ka Chehra Nikhar Gaya
chamka jo chand raat ka chehra nikhar gaya
mange ka nur bhi to baDa kaam kar gaya
ye bhi bahut hai sainkaDon paude hare hue
kya gham jo barishon mein koi phul mar gaya
sahil pe log yunhi khaDe dekhte rahe
dariya mein hum jo utre to dariya utar gaya
saya bhi aap ka hai faqat raushni ke sath
DhunDoge tirgi mein ki saya kidhar gaya
hum jis ke intizar mein jage tamam raat
aaya bhi wo to KHwab ki surat guzar gaya
hum ne to gul ki chand ki tare ki baat ki
sab ahl-e-ajnuman ka guman aap par gaya
ghar hi nahin raha hai salamat bataen kya
'jawed' ke baad sail-e-bala kis ke ghar gaya
(1309) Peoples Rate This