Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_4b16f81893ab3ae64b891d5d849ed70e, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Tera Hi Main Gada Hun Mera Tu Shah Bas Hai - Abdul Wahab Yakro Poetry In English - Darsaal

Tera Hi Main Gada Hun Mera Tu Shah Bas Hai

tera hi main gada hun mera tu shah bas hai

mujh shab ki raushni kun tujh ruKH ka mah bas hai

surma se gard-e-mizhgan saf bandh ke biThi hain

shah-e-nayan kun teri yu qibla-gah bas hai

dil ki shikastagi sun paya hun baadshahi

karne kun sarwari ke aisi kulah bas hai

mahshar ke KHur ki tap sin kuchh Dar nahin haman kun

zulf-e-siyah ka saya dil ki panah bas hai

do ja nahin hai jag mein maujud juz KHuda ke

is baat ki shahadat ek la-ilah bas hai

'yakru' hua hai pani sun 'abru' ka misra

rakhne ko yusufan ke ek dil ki chah bas hai

(916) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tera Hi Main Gada Hun Mera Tu Shah Bas Hai In English By Famous Poet Abdul Wahab Yakro. Tera Hi Main Gada Hun Mera Tu Shah Bas Hai is written by Abdul Wahab Yakro. Read famous Poem Tera Hi Main Gada Hun Mera Tu Shah Bas Hai for youth and Student by Abdul Wahab Yakro. Free Download Tera Hi Main Gada Hun Mera Tu Shah Bas Hai in PDF.