Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_b35f7402ee26fd110c2700a81ed403d5, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Mera Dil Mubtala Hai Jhanwali Ka - Abdul Wahab Yakro Poetry In English - Darsaal

Mera Dil Mubtala Hai Jhanwali Ka

mera dil mubtala hai jhanwali ka

tari ankhiyan saloni sanwli ka

gaya tan sukh ankhiyan tar hain gham sin

hua hun shah KHushki o tari ka

jabhi tu pan kha kar muskuraya

tabhi dil khil gaya gul ki kali ka

kahta hun wasf dandan-o-misi ke

maza leta hon ab tal-chawli ka

nahin hai reKHte ke bahr ka par

samajh mat sher us kun parsi ka

jo ru pao to dil mera dikhao

suna hai shoKH KHwahan aarasi ka

mujhe kahte hain 'yakru' sab mohibban

ki banda jaan sin hun hazrat-'ali' ka

(1206) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mera Dil Mubtala Hai Jhanwali Ka In English By Famous Poet Abdul Wahab Yakro. Mera Dil Mubtala Hai Jhanwali Ka is written by Abdul Wahab Yakro. Read famous Poem Mera Dil Mubtala Hai Jhanwali Ka for youth and Student by Abdul Wahab Yakro. Free Download Mera Dil Mubtala Hai Jhanwali Ka in PDF.