Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_99c5d5113e1d3d86bc1db62e47b39529, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
KHush-qadan Jab KHiram Karte Hain - Abdul Wahab Yakro Poetry In English - Darsaal

KHush-qadan Jab KHiram Karte Hain

KHush-qadan jab KHiram karte hain

fitna barpa tamam karte hain

mai-kashan ja ke mai-kade ke bich

sair-e-bait-ul-haram karte hain

tujh nigah ki sharab sath jigar

gazak aashiq mudam karte hain

murgh-e-dil ko dikha ke dana-e-KHal

dil-baran zulf-e-dam karte hain

jo hain tujh did ke gurasna-e-chashm

kab we zauq-e-taam karte hain

jo ki pite hain KHun-e-dil jun mai

chashm apne kun jam karte hain

kab milega wo jaan ab 'yakru'

dil pe gham izhdiham karte hain

(1283) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHush-qadan Jab KHiram Karte Hain In English By Famous Poet Abdul Wahab Yakro. KHush-qadan Jab KHiram Karte Hain is written by Abdul Wahab Yakro. Read famous Poem KHush-qadan Jab KHiram Karte Hain for youth and Student by Abdul Wahab Yakro. Free Download KHush-qadan Jab KHiram Karte Hain in PDF.