Ye Saneha Bhi Ho Gaya Hai Raste Mein

ye saneha bhi ho gaya hai raste mein

jo rahnuma tha wahi kho gaya hai raste mein

kisi bhi aabla-pa ko na mil saki taskin

ajib KHar koi bo gaya hai raste mein

itab-e-jaan hui gard-e-safar kisi ke liye

kisi ko abr-e-karam dho gaya hai raste mein

hudi ki lai karo maddham ai qafile walo

thakan se chur koi so gaya hai raste mein

musafiran-e-wafa ki koi KHabar na mili

na jaane kaun kidhar ko gaya hai raste mein

rahega sath kahan tak ye dekhna hai mujhe

wo ham-suKHan to mera ho gaya hai raste mein

(1040) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Saneha Bhi Ho Gaya Hai Raste Mein In English By Famous Poet Abdul Wahab Sukhan. Ye Saneha Bhi Ho Gaya Hai Raste Mein is written by Abdul Wahab Sukhan. Read famous Poem Ye Saneha Bhi Ho Gaya Hai Raste Mein for youth and Student by Abdul Wahab Sukhan. Free Download Ye Saneha Bhi Ho Gaya Hai Raste Mein in PDF.