Ai Meri Aankho Ye Be-sud Justuju Kaisi
ai meri aankho ye be-sud justuju kaisi
jo KHwab KHwab rahin un ki aarzu kaisi
ragon mein KHun hai shaKHon ki surKH-ru ghunche
KHizan mein ab ke bahaaron ki rang-o-bu kaisi
tamam patton ko mausam ne zard zard kiya
ye ek shaKH-e-tamanna hai sabz-ru kaisi
karo to yaad milan ke wo awwalin lamhe
ki chhiD gai thi nigahon mein guftugu kaisi
ye shahr-e-dil mein bhala aaj kis ki aamad hai
ye mahw-e-raqs hain KHushbuen ku-ba-ku kaisi
ufuq ka chehra 'suKHan' is kadar udas hai kyun
shafaq ke rang mein ye surKHi-e-lahu kaisi
(1169) Peoples Rate This