Sher Kahne Ki Tabiat Na Rahi
sher kahne ki tabiat na rahi
jis se aamad thi wo surat na rahi
us ki dahliz se uTh jaun magar
log sochenge mohabbat na rahi
ab mila adl, gaya daur-e-shabab
munsifi teri bhi waqat na rahi
waqt ki dauD mein rukna tha kaThin
sans lene ki bhi fursat na rahi
waqt-e-didar ajab hukm hua
hosh khone ki ijazat na rahi
tum se jazbaat the jab tum hi nahin
phir zamane se shikayat na rahi
main nikal aaun bayaban se agar
shohra ho jaega wahshat na rahi
bhiD mein DhunDen kahan qais ko ab
wo jo pahchan thi wahshat na rahi
daur-e-rafta ke namune ho 'salam'
ab takalluf ki zarurat na rahi
(1026) Peoples Rate This