Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_31472b513c0e26988aae4517547801e9, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Dil Ki Haalat Bayan Nahin Hoti - Abdul Salam Poetry In English - Darsaal

Dil Ki Haalat Bayan Nahin Hoti

dil ki haalat bayan nahin hoti

KHamushi jab zaban nahin hoti

harf-e-hasrat hai tum ne kya samjha

zindagi dastan nahin hoti

kya muqabil ho husn-e-jaanan ke

chandni be-karan nahin hoti

tum jo aao to ho jawan mahfil

warna kab kahkashan nahin hoti

husn ki be-ruKHi ada Thahri

aashiqi bad-guman nahin hoti

be-qarari ki bas dawa tum ho

ye tabibon ke han nahin hoti

jo ye hindostan nahin hota

to ye urdu zaban nahin hoti

kuchh marasim 'salam' rahne de

dushmani jawedan nahin hoti

(1122) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Ki Haalat Bayan Nahin Hoti In English By Famous Poet Abdul Salam. Dil Ki Haalat Bayan Nahin Hoti is written by Abdul Salam. Read famous Poem Dil Ki Haalat Bayan Nahin Hoti for youth and Student by Abdul Salam. Free Download Dil Ki Haalat Bayan Nahin Hoti in PDF.