Kya Kya Supurd-e-KHak Hue Namwar Tamam
kya kya supurd-e-KHak hue namwar tamam
ek roz sab ko karna hai apna safar tamam
meri nazar ne luT liye jalwa-ha-e-husn
hasrat se dekhte hi rahe dida-war tamam
tum ne to apna kah ke mujhe luT hi liya
matam-kunan hai mere liye ghar ka ghar tamam
mana ki mere lab na hile roab-e-husn se
rudad-e-dil to kah hi gai chashm-e-tar tamam
ab didani hai aap ke bimar-e-gham ka haal
mayus aa rahe hain nazar chaara-gar tamam
rah-e-wafa mein had se hum aage guzar gae
do-gam chal ke baiTh gae rahbar tamam
chhoDe hain hum ne naqsh-e-mohabbat har ek jagah
waqif hamare haal se hain baam-o-dar tamam
(1262) Peoples Rate This