Koi Nazr-e-gham-e-haalat Na Hone Pae
koi nazr-e-gham-e-haalat na hone pae
aur har baat ho ye baat na hone pae
jo bhi surat hai inayat hai karam hai un ka
raegan un ki ye saughat na hone pae
un ki taswir se har lamha rahe raaz-o-niyaz
muntashir shan-e-KHayalat na hone pae
saKHt dushwar hai pabandi-e-ain-e-wafa
baat to jab hai tujhe mat na hone pae
jaan de dijiye aadab-e-mohabbat ke liye
dekhiye KHami-e-jazbaat na hone pae
bazm mein un ka koi zikr jo aa jata hai
hukm hota hai meri baat na hone pae
husn-e-kirdar se hasti ko saja lo 'wasfi'
zindagi nazr-e-KHurafat na hone pae
(1219) Peoples Rate This