Gham Se Ghabra Ke Kabhi Nala-o-fariyaad Na Kar
gham se ghabra ke kabhi nala-o-fariyaad na kar
izzat-e-nafs kisi haal mein barbaad na kar
dil ye kahta hai ki de inT ka patthar se jawab
jo tujhe bhule use tu bhi kabhi yaad na kar
toD de band-e-qafas kuchh bhi agar himmat hai
ek rihai ke liye minnat-e-sayyaad na kar
apne haalat ko behtar jo banana hai tujhe
ahd-e-rafta ko kabhi bhul ke bhi yaad na kar
haal ko dekh samajh waqt ki qimat ai dost
fikr-e-farda mein kabhi waqt ko barbaad na kar
zindagi banti hai kirdar se kirdar bana
muKHtasar zist ke lamhat ko barbaad na kar
kabhi badla hai na badlega mohabbat ka mizaj
ahl-e-dil hai to kisi dil ko bhi nashad na kar
muddai ilm ka hai jehl-e-murakkab la-raib
qaul faisal hai faramosh ye irshad na kar
(1296) Peoples Rate This