Phir Aaya Jam-ba-kaf Gul-ezar Ai Waiz
phir aaya jam-ba-kaf gul-ezar ai waiz
shikast-e-tauba ki phir hai bahaar ai waiz
na jaan mujh ko tu muKHtar saKHt hun majbur
nahin hai dil pe mera iKHtiyar ai waiz
anar-e-KHuld ko tu rakh ke hain pasand hamein
kuchen wo yar ki rashk-e-anar ai waiz
usi ki kakul pur-pech ki qasam hai mujhe
ki tere waz hain sab pechdar ai waiz
hamare dard ko kya jaane tu ki tujh ko hai
na dard-e-yar na dard-e-dayar ai waiz
kiya jo zikr-e-qayamat ye kya qayamat ki
ki yaad aaya mujhe qad-e-yar ai waiz
bhulaega na kabhi yaad-e-gul-ruKHan 'ehsan'
koi wo samjhe hai samjha hazar ai waiz
(1314) Peoples Rate This