Nim-cha Jald Myan Hi Na Miyan Kijiyega
nim-cha jald myan hi na miyan kijiyega
nim-jaanon ka abhi kaam rawan kijiyega
taqat-e-garmi-e-KHurshid-e-qayamat hai kise
tab ki dagh-e-jigar se na fughan kijiyega
dil mein tum ho na jalao mere dil ko dekho
mera nuqsan nahin apna ziyan kijiyega
kah do baqqal pisar se ki mera dil le kar
qasd-e-aKHz-e-dil-e-aghyar na han kijiyega
dil se dil pas hain to bhi hai dilon ki KHwahish
kya dilon ki kahin dilli mein dukan kijiyega
aur bhi soz-e-jigar bazm mein hoga raushan
shama san qata agar meri zaban kijiyega
yar jab sath safar mein ho kahan ki rozi
roz rozon hi mein id-e-ramzan kijiyega
kis se yarab kahun ahwal ye kahta hai wo but
apni yan ram-kahani na bayan kijiyega
wo dhuan-dhaar si zulfen hain nazar mein har shab
wird ab sura-e-wallail-o-duKHan kijiyega
shahr-e-dil ki tumhein aabaadi ka kuchh bhi hai KHayal
ya jahan rahiyega viran hi wahan kijiyega
meri jaanib se kaho mohtasib-e-shahr se ye
sai-e-arzani-e-mai az dil-o-jaan kijiyega
pani pi pi ke tumhein dewenge dushnam ye rind
tum subuk hoge agar baada giran kijiyega
jald 'ehsan' se kaho wo but-e-KHud-kaam aaya
ab to lillah kahin band zaban kijiyega
(1499) Peoples Rate This