Nahin Sunta Nahin Aata Nahin Bas Mera Chalta Hai
nahin sunta nahin aata nahin bas mera chalta hai
nikal ai jaan tu hi wo nahin ghar se nikalta hai
jala hun aatish-e-furqat se main ai shoala-ru yan tak
charagh-e-KHana mujh ko dekh kar har sham jalta hai
nahin ye ashk-o-laKHt-e-dil teri ulfat ki daulat se
mera ye dida har dam lal aur gauhar ugalta hai
kisi ka sath sona yaad aata hai to rota hun
mere ashkon ki shiddat se sada gul-takiya galta hai
milata hun agar aankhen to wo dil ko churaata hai
jo main dil ko talab karta hun wo aankhen badalta hai
mere pahlu-o-sina mein buton ke rah gae KHanjar
KHuda ka fazl jis par ho to wo is tarah bahalta hai
sada hi meri qismat jun sada-e-halqa-e-dar hai
agar main ghar mein jata hun to wo bahar nikalta hai
wo bahr-e-husn shayad bagh mein aawega ai 'ehsa۔n'
ki fawwara KHushi se aaj do do gaz uchhalta hai
(1253) Peoples Rate This