Myan Kya Ho Gar Abru-e-KHamdar Ko Dekha
myan kya ho gar abru-e-KHamdar ko dekha
kyun meri taraf dekh ke talwar ko dekha
aankhen meri phuTen teri aaankhon ke baghair aah
gar main ne kabhi nargis-e-bimar ko dekha
dekhe na mere ashk-e-musalsal kabhi tum ne
apni hi sada motiyon ke haar ko dekha
itwar ko aana tera malum ki ek umr
be-pir tere hum ne hi atwar ko dekha
dekha na kabhu kucha-e-dildar ko rangin
bas hum ne bhi is dida-e-KHun-bar ko dekha
us mein bhi dar-andazon ne sau raKHne nikale
'ehsan' ne jo us raKHna-e-diwar ko dekha
(1106) Peoples Rate This