Har Aan Jalwa Nai Aan Se Hai Aane Ka
har aan jalwa nai aan se hai aane ka
chalan ye chalte ho aashiq ki jaan jaane ka
qasam qadam ki tere jab talak hai dam mein dam
main panw par se tere sar nahin uThane ka
hamari jaan pe girti hai barq-e-gham zalim
tujhe to sahl sa hai shaghl muskurane ka
qasam KHuda ki main kuchh kha ke so rahunga sanam
jo sath apne nahin mujh ko tu sulane ka
nasib us ke sharab-e-bahisht howe mudam
hua hai jo koi mujid sharab-KHane ka
bahut se KHun-KHarabe machenge KHana-KHarab
yahi hai rang agar tere pan khane ka
hamari chhati pe phirta hai sanp yan 'ehsan'
wahan hai shaghl use zulf ke banane ka
(1157) Peoples Rate This