Ghair Ke Dil Pe Tu Ai Yar Ye Kya Bandhe Hai
ghair ke dil pe tu ai yar ye kya bandhe hai
hai wo ek baad-farosh aur hawa bandhe hai
bul-hawas jama-e-uryani-e-ushshaq ko dekh
tu gareban se kyun apna gala bandhe hai
yun sharar chhiDti hain jaise ki hawai hai chhuTi
ek saman aah meri ta-ba-sama bandhe hai
dil-e-sar-gashta bhi to ek bala mein hai phansa
kabhi kholi hai kabhu zulf-e-dota bandhe hai
ye to tujh se na hua aawe shab-e-tar mein yar
tar shikwon hi ka tu subh-o-masa bandhe hai
dekh kar toDa gale ka koi dil deta hai
munDchara-pan se tu kyun apna gala bandhe hai
bewafa manda ki rakkhi to na tujh pas rahun
kya karun panw mera dast-e-wafa bandhe hai
naf-e-ahu mein na kis tarah se ja kar wo chhupe
mushk ki mushkin teri zulf-e-rasa bandhe hai
ek jhagaDalu ki duKHtar pe hua hai aashiq
dil mera jaan ke jhagDe ki bina bandhe hai
jab jafa se teri hota hun KHafa ghusse se
TukTuki meri taraf mehr-e-wafa bandhe hai
jab kaha main ne ki juDe ko meri jaan tu bandh
band mahram ke main bandhunga tu kya bandhe hai
khol kar baalon ko aashufta-o-barham ho kar
tere kahne se kaha meri bala bandhe hai
sahl ye taur hai 'ehsan' ghazal ek aur bhi likh
hai khula sab pe tu mazmun bandha bandhe hai
(1252) Peoples Rate This