Gali Se Teri Jo Ki Ai Jaan Nikla
gali se teri jo ki ai jaan nikla
gareban se dast-o-gareban nikla
teri aan pe ghash hun har aan zalim
to ek aan lekin na yan aan nikla
yahi mujh ko rah rah ke aata hai arman
ki tujh se na kuchh mera arman nikla
meri aah-e-atish-fishan dekhti hai
liye ghar se har aan quran nikla
meri jaan shart-e-rifaqat nahin ye
nikal jaan tu bhi ki paikan nikla
kiya main ne mujra to jhunjhla ke bola
kahan ka mera jaan pahchan nikla
ajab be-baha hai mera ashk yaro
ye kam-baKHt laDka to tufan nikla
mujhe shaiKH ulfat se mane hai 'ehsan'
wali jis ko samjha tha shaitan nikla
(1076) Peoples Rate This