Dosh-ba-dosh Dosh Tha Mujhse But-e-karishma-kosh
dosh-ba-dosh dosh tha mujh se but-e-karishma-kosh
parda dar KHiyam-e-aql-e-raKHna-gar harim-e-hosh
ghaza ba-ru misi ba-lab pan ba-dahan hina ba-kaf
silk-e-durr-e-adan basar turra-e-ambarin ba-dosh
pal mein mariz wo kare dam mein shifa ye de mujhe
aah wo chashm-e-mai-parast wah wo lal-e-baada-nosh
mail-e-aish jaan kar jahil bewafa kahe
sail-e-bosa jabki hun chupke kahe ki chup KHamosh
ishq mein sab hai behtari dekh ba-chashm ghaDi
rashk-e-qamar hai mushtari-e-dida-gah-e-farosh
munkir-e-mai tha shaiKH kal aaj ye haal hai ki hai
jam-ba-dast-o-KHum-ba-sar shisha-ba-lab-o-ba-dosh
naghma-sara ho 'muhsina' taki wo bagh bagh bagh
sausan-e-sad-zaban ho gul ki tarah tamam gosh
(1236) Peoples Rate This