Dil To Hazir Hai Agar Kijiye Phir Naz Se Ramz
dil to hazir hai agar kijiye phir naz se ramz
hain tere naz ke sadqe isi andaz se ramz
ramz-o-ima-o-kinae tujhe sab yaad hain yar
hum to bhule hain gham-e-ghamza-e-ghammaz se ramz
apni na-fahmi se main aur na kuchh kar baiThun
is tarah se tumhein jaez nahin eajaz se ramz
dil ko tu sahj mein lewega ye main jaan chuka
yahi nikli hain teri sahj ki aawaz se ramz
hum jien ya ki maren kuchh nahin gham shauq se aap
masnad-e-naz pe farmaiye eazaz se ramz
main isi dam teri tarwar se kaTunga gala
tegh dikhla ke miyan aashiq-e-jaan-baz se ramz
baz jaddam se dar-e-adl-e-shah-e-alam hai
bachcha-e-qaz bhi karta hai yahan baz se ramz
kya tajjub hai agar murda-e-sad-sala jien
kam nahin mere masiha ke bhi eajaz se ramz
hai tujhe KHana-KHarabi hi agar madd-e-nazar
kijiyo ai falak us KHana-bar-andaz se ramz
ramz-e-'ehsan' se hai yani ki ghazal aur bhi paDh
sikh jae koi us chashm-e-fusun-saz se ramz
(1355) Peoples Rate This