Aaankhon Mein Murawwat Teri Ai Yar Kahan Hai
aaankhon mein murawwat teri ai yar kahan hai
puchha na kabhu mujh ko wo bimar kahan hai
nau KHat to hazaron hain gulistan-e-jahan mein
hai saf to yun tujh sa numudar kahan hai
aaram mujhe saya-e-tuba mein nahin hai
batlao ki wo saya-e-diwar kahan hai
lao to lahu aaj piyun duKHtar-e-raz ka
ai muhtasibo dekho wo murdar kahan hai
furqat mein us abru ki gala kaTunga apna
myan dijo use dam meri talwar kahan hai
jin se ki ho marbut wahi tum ko hai maimun
insan ki sohbat tumhein darkar kahan hai
dekhun jo tujhe KHwab mein main ai mah-e-kanan
aisa to mera tala-e-bedar kahan hai
sunte hi us aawaz ki kuchh ho gai wahshat
dekho to wo zanjir ki jhankar kahan hai
din chhine wo jab dekhiyo ghaarat-gari us ki
tab sochiyo KHurshid ki dastar kahan hai
us din ke hun sadqe ki tu khinche hue talwar
ye puchhta aawe wo gunahgar kahan hai
hanste to ho tum mujh pe wa-lekin koi din ko
rooge ki wo mera giraftar kahan hai
ai gham mujhe yan ahl-e-tayyush ne hai ghera
is bhiD mein tu ai mere gham-KHwar kahan hai
jab tak ki wo jhanke tha idhar mahr se hum to
waqif hi na the mahr par anwar kahan hai
us mah ke sarakte hi ye andher hai 'ehsan'
malum nahin raKHna-e-diwar kahan hai
(1457) Peoples Rate This