Main Shab-e-hijr Kya Karun Tanha

main shab-e-hijr kya karun tanha

yaad mein teri gum rahun tanha

hain idhar gardishen zamane ki

hai muqabil udhar junun tanha

kitne be-nur hain ye hangame

main bhare shahr mein bhi hun tanha

aadmi ghir gaya masail mein

rah gai zist be-sukun tanha

wo to is daur ke nahin insan

mil gaya hai jinhen sukun tanha

ham-safar jab 'niyaz' andhere hain

shama ghabra rahi hai kyun tanha

(1120) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Shab-e-hijr Kya Karun Tanha In English By Famous Poet Abdul Mateen Niyaz. Main Shab-e-hijr Kya Karun Tanha is written by Abdul Mateen Niyaz. Read famous Poem Main Shab-e-hijr Kya Karun Tanha for youth and Student by Abdul Mateen Niyaz. Free Download Main Shab-e-hijr Kya Karun Tanha in PDF.