Intishaar-o-KHauf Har Ek Sar Mein Hai

intishaar-o-KHauf har ek sar mein hai

aafiyat se kaun apne ghar mein hai

zindagi par sab haqiqat khul chuki

tu abhi tak KHwab ke paikar mein hai

mutmain insan kahin par bhi nahin

ek si haalat zamane bhar mein hai

raat ki chaTTan se subhen tarash

KHwab ki tabir isi patthar mein hai

jhuT ki ban aai hai chaaron taraf

sach agar hai bhi to pas-manzar mein hai

barf ehsasat ki pighla sake

wo sharar mazi ki KHakistar mein hai

TuT jaane tak uDenge hum 'niyaz'

hausla itna to baal-o-par mein hai

(1279) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Intishaar-o-KHauf Har Ek Sar Mein Hai In English By Famous Poet Abdul Mateen Niyaz. Intishaar-o-KHauf Har Ek Sar Mein Hai is written by Abdul Mateen Niyaz. Read famous Poem Intishaar-o-KHauf Har Ek Sar Mein Hai for youth and Student by Abdul Mateen Niyaz. Free Download Intishaar-o-KHauf Har Ek Sar Mein Hai in PDF.