Hijr Mein Guzri Hai Us Raat Ki Baaten Na Karo

hijr mein guzri hai us raat ki baaten na karo

aap tajdid-e-mulaqat ki baaten na karo

dil ne har daur mein duniya se baghawat ki hai

dil se tum rasm-o-riwayat ki baaten na karo

himmaten qafile walon ki na hon past kahin

rahraw-e-gardish-e-haalat ki baaten na karo

chahiye josh-e-talab mere shikasta-dil ko

aise haalat mein sadmat ki baaten na karo

zindagi aur bhi tashrih-talab hai yaro

gham ke tapte hue lamhat ki baaten na karo

kitne hi zaKHm hare hain mere sine mein 'niyaz'

aap ab mujh se inayat ki baaten na karo

(1117) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hijr Mein Guzri Hai Us Raat Ki Baaten Na Karo In English By Famous Poet Abdul Mateen Niyaz. Hijr Mein Guzri Hai Us Raat Ki Baaten Na Karo is written by Abdul Mateen Niyaz. Read famous Poem Hijr Mein Guzri Hai Us Raat Ki Baaten Na Karo for youth and Student by Abdul Mateen Niyaz. Free Download Hijr Mein Guzri Hai Us Raat Ki Baaten Na Karo in PDF.