Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_f70b109a9abe8ee0588871ddb514d09c, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Muddaa-o-arzu Shauq-e-tamanna Aap Hain - Abdul Mannan Tarzi Poetry In English - Darsaal

Muddaa-o-arzu Shauq-e-tamanna Aap Hain

muddaa-o-arzu shauq-e-tamanna aap hain

kis ko kis ko main bataun mere kya kya aap hain

mai-kada saghar surahi aur sahba aap hain

jo kisi surat na utre aisa nashsha aap hain

jis pe karti hai mohabbat meri dawa aap hain

jis ka dil sham-o-sahar paDhta wazifa aap hain

ai meri jaan-e-ghazal shahr-e-wafa-o-shauq mein

meri azra aur salma meri nura aap hain

aap hain ai jaan-e-jaan mere suKHan ki aabru

sach to ye hai ki ghazal ka misra misra aap hain

aap ki zulfon ka main hi to nahin tanha asir

kar gai barbaad jo zahid ki taqwa aap hain

jazba-e-pakiza mere dil ka hain kuchh aap hi

meri chashm-e-shauq ka sara tamasha aap hain

ahd-e-piri mein ghazal 'tarzi' miyan aisi jawan

ishq mein kis ke bhala itne bhi ruswa aap hain

(1456) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Muddaa-o-arzu Shauq-e-tamanna Aap Hain In English By Famous Poet Abdul Mannan Tarzi. Muddaa-o-arzu Shauq-e-tamanna Aap Hain is written by Abdul Mannan Tarzi. Read famous Poem Muddaa-o-arzu Shauq-e-tamanna Aap Hain for youth and Student by Abdul Mannan Tarzi. Free Download Muddaa-o-arzu Shauq-e-tamanna Aap Hain in PDF.