Meri Nigah Ko Jalwon Ka Hausla De Do
meri nigah ko jalwon ka hausla de do
guzar-basar ka koi bhi to aasra de do
tumhaari bazm se jata hai na-murad koi
safar-ba-KHair ki jaan-e-wafa dua de do
ata pe harf na aa jae mangne se mere
KHuda ho mere to phir hasb-e-muddaa de do
miTa do meri nigahon se tum nuqush tamam
wagarna dusra mujh ko ek aaina de do
fareb-e-sharh-e-tamanna bhi kha le ab ye dil
labon ko jurat-e-izhaar-e-muddaa de do
junun-nawaz-o-junun-KHez-o-sad-junun-saman
tum apne jalwon ko aisi koi ada de do
adu ko shikwa-e-lazzat koi na rah jae
mere lahu ko kuchh aisa hi zaiqa de do
ghazal ki aabru tum ho ghazal mujhe mahbub
shuur-e-fikr ko uslub-e-KHush-numa de do
ye dil to dushman-e-jaani hai ek muddat se
jo gham-nawaz ho aisa gham-ashna de do
libas-e-kohna ghazal ka utar kar 'tarzi'
ba-faiz tab-e-rasa ek nai qaba de do
(1450) Peoples Rate This