Marhala Shauq Ka Hai Lafz-o-bayan Se Aage
marhala shauq ka hai lafz-o-bayan se aage
ek shoala hai koi barq-e-tapan se aage
apni hairat ka to hai ilm yaqin se pahle
tu bata mujh ko hai kya mere guman se aage
han mera shauq-laqa teri inayat hi sahi
kya mila mujh ko magar ijz-e-bayan se aage
kyun bana Dala ise meri nigahon ka ghurur
tera jalwa hai agar husn-e-butan se aage
apni KHalwat se kabhi tu bhi na bahar jhanka
mujh ko jaane na diya mere makan se aage
kuchh nahin is ke siwa apni nigahon ki bisat
kuchh dikhai na diya sud-o-ziyan se aage
fahm-o-idrak pe bhi mere hai pahra tera
aur tu sare makan sare zaman se aage
imtihan KHatm nahin hota isi par 'tarzi'
ju-e-KHun lani hai ek ashk-e-rawan se aage
(1383) Peoples Rate This