Kya Yahan Dekhiye Kya Wahan Dekhiye
kya yahan dekhiye kya wahan dekhiye
aap hi aap hain ab jahan dekhiye
ghar jala dekhiye wo dhuan dekhiye
aag pahunchi kahan se kahan dekhiye
dekhiye ta-kamar zulf ka shoabada
uljhanen ban gain dastan dekhiye
mujh ko malum hai aap masum hain
jal gaya hoga yun hi makan dekhiye
bujh gai shama parwane ruKHsat hue
luT gaya shauq ka karwan dekhiye
ishq roz-e-azal se mata-e-yaqin
husn hai aaj bhi bad-guman dekhiye
aaiye mere dil mein bhi waqt-e-ghazal
ek dariya-e-atish rawan dekhiye
husn ki ehtiyat-e-hasin dekh kar
ishq ka iltihab-garan dekhiye
is tamashe ka jab aap ko shauq hai
hum jalate hain apna makan dekhiye
ismat-e-dil hai aur gham ka aatish-kada
aag ban jaegi gulistan dekhiye
ishtiyaq-e-jabin apna dekhenge hum
aap virani-e-astan dekhiye
aap ke samne aur tab-e-suKHan
KHush-bayan kitne hain be-zaban dekhiye
tur hi ki tarah jal na jae kahin
jalwa-bari se pahle makan dekhiye
ramz-o-ima ghazal ki agar jaan hain
aap 'tarzi' ka husn-e-bayan dekhiye
(1503) Peoples Rate This