KHun Jab Ashk Mein Dhalta Hai Ghazal Hoti Hai
KHun jab ashk mein Dhalta hai ghazal hoti hai
jab bhi dil rang badalta hai ghazal hoti hai
tere iKHlas-e-sitam hi ka ise faiz kahen
munjamid dard pighalta hai ghazal hoti hai
dil ko garmati hai ashkon ke sitaron ki kiran
jab diya sham ka jalta hai ghazal hoti hai
sher hota hai shafaq mein jo hina rachti hai
lala jab KHun ugalta hai ghazal hoti hai
KHushk soton ko jagate hain payambar ke qadam
ret se chashma ubalta hai ghazal hoti hai
apne sine ke mina mein bhi tah-e-KHanjar-e-ishq
jab koi fidya badalta hai ghazal hoti hai
fikr aa jati hai tarsil ke suraj ke tale
jab koi saya nikalta hai ghazal hoti hai
dawat-e-pursish-e-ahwal hai yaron se kaho
dariya jab aankhon ka chaDhta hai ghazal hoti hai
jazba-o-fikr ke KHamosh samundar ke tale
jab bhi tufan machalta hai ghazal hoti hai
mehrban hota hai jab jaan mohabbat 'tarzi'
dil-e-bimar sambhalta hai ghazal hoti hai
(1574) Peoples Rate This