Khuli Jab Aankh To Dekha Ki Tha Bazar Ka Halqa
khuli jab aankh to dekha ki tha bazar ka halqa
KHuda malum kab TuTa mere pindar ka halqa
tulu-e-sham bhi mujh ko nawed-e-subh-e-farda hai
kahin chamke hilal-e-abru-e-KHam-dar ka halqa
mera KHun-e-tamanna hai hina-band-e-kaf-e-qatil
junun-e-shauq kaam aaya faraaz-e-dar ka halqa
dil but aashna kuchh is tarah su-e-haram aaya
barahman jaise nikle toD kar zunnar ka halqa
talab ki rah mein pa-e-ana se barha uljha
kabhi inkar ka halqa kabhi iqrar ka halqa
ye ku-e-gham badal jae na ab dasht-e-tamanna se
junun-angez hai zindan ki har diwar ka halqa
har ek mahfil mein jaana har kisi se baat kar lena
gawara kar nahin sakta mere mear ka halqa
lahu qadmon se yun phuTa ki zanjiren lahak uTThin
munawwar ho gaya zindan-e-tang-o-tar ka halqa
gham-e-imroz ne paiman kiya hai ishq-e-farda se
kabhi to hoga shana-gir zulf-e-yar ka halqa
koi aasan na tha lekin bahut mushkil na tha 'tarzi'
meri zarb-e-nafas se khul gaya asrar ka halqa
(1517) Peoples Rate This