Jab Nigah-e-talab Moatabar Ho Gai
jab nigah-e-talab mo'atabar ho gai
manzil-e-shauq dushwar-tar ho gai
saat-e-gham bhi kya muKHtasar ho gai
teri yaad aai thi ki sahar ho gai
har haqiqat KHud apni KHabar ho gai
bidat-e-rang sarf-e-nazar ho gai
raat mahfil mein wo be-naqab aae the
aur hum ne ye samjha sahar ho gai
apne pindar ki lash Dhote rahe
zindagi apni is mein basar ho gai
aaine se palaTti rahi har kiran
har nazar apni hi parda-dar ho gai
koi ilzam jalwon pe aaya nahin
bebasi aankh ki mushtahar ho gai
wo jo aae to sailab-e-nur aa gaya
raushni KHud hi sadd-e-nazar ho gai
chaarasazi na ki haif nazron hi ne
hum ne samjha dua be-asar ho gai
hae phir teri baaton mein dil aa gaya
phir fusun-saz teri nazar ho gai
apne ijz-e-nazar ka bharam khul gaya
be-hijabi teri dida-war ho gai
'tarazi' qadmon ke badle jabinen milen
na-rasi qismat-e-sag-e-dar ho gai
(1346) Peoples Rate This