Jab Bhi Gulshan Mein Chali ThanDi Hawa
jab bhi gulshan mein chali ThanDi hawa
aur pagal kar gai ThanDi hawa
pahle to aisi na thi ThanDi hawa
ho gai kyun dil-jali ThanDi hawa
sun ke us ki baat ghunche hans paDe
kan mein kya kah gai ThanDi hawa
un ke honTon ka jo kar aai tawaf
pa gai kuchh naghmagi ThanDi hawa
hai dil-e-nakaam se achchhi nahin
chheD-KHani bhi teri ThanDi hawa
sach bata meri tarah kya un ki bhi
be-qarari thi baDhi ThanDi hawa
zaKHm-e-dil jis se hua kuchh mundamil
kucha-e-jaanan ki thi ThanDi hawa
dekh lete hum bhi tera kuchh kamal
khilti gar dil ki kali ThanDi hawa
ek pareshan dil ka kah degi salam
milna un se gar kabhi ThanDi hawa
'tarzi' aisa hai asir-e-gham tera
haal par jis ke hansi ThanDi hawa
(1499) Peoples Rate This