Har Aan Nai Shan Hai Har Lamha Naya Hai
har aan nai shan hai har lamha naya hai
aaina-e-ayyam hai ya teri ada hai
rahbar jise hairat se khaDa dekh raha hai
wo rahraw-e-gum-gashta ka naqsh-e-kaf-e-pa hai
nalon ne ye bulbul ke baDa kaam kiya hai
ab aatish-e-gul hi se chaman jalne laga hai
ai jaan-e-wafa dil ke ewaz dard liya hai
kuchh soch samajh kar hi to ye kaam kiya hai
pahron pas-e-diwar khaDa tha so khaDa hai
diwana hai paband-e-rah-e-rasm-o-wafa hai
tanhai mein mahsus hua hai mujhe aksar
jaise mere andar se koi bol raha hai
tari hai sukut aaj samundar ki faza par
gahrai mein shayad koi tufan uTha hai
karta tha jo KHamoshi ki talqin hamesha
ham-saya mera KHwab mein wo chiKH raha hai
zindan ke darichon se hai phir shauq ne jhanka
shayad ki junun-KHez gulistan ki hawa hai
ye gardish-e-ayyam ka ehsan hai 'tarzi'
ab zaKHm-e-kuhan apna hara hone laga hai
(1370) Peoples Rate This