Ghazal Mein Fan Ka Jauhar Jab Dikhate Hain Ghazal Wale
ghazal mein fan ka jauhar jab dikhate hain ghazal wale
zamin ko aasman jaisa banate hain ghazal wale
badal dete hain KHaron ki KHalish gul ki nazakat se
zaban shabnam ki shoalon ko sikhate hain ghazal wale
kabhi pahle ghazal un ki kabhi KHud peshtar is se
kisi ke dida-o-dil mein samate hain ghazal wale
agar aahon se apni koi misra gaDh bhi lete hain
to ashkon se girah us par lagate hain ghazal wale
wufur-e-shauq ki majburiyan bhi kaisi kaisi hain
kisi ka nam likh likh kar miTate hain ghazal wale
zamin zarKHez hai ye 'mir' 'ghaalib' aur 'momin' ki
ki jis mein fasl-e-taza ab ugate hain ghazal wale
ba-ijz-e-ilm-o-danish jao un ki bazm mein 'tarzi'
ghazal ki sher-bandi par bulate hain ghazal wale
(1070) Peoples Rate This