Apne Haalat Ka Asir Hun Main
apne haalat ka asir hun main
dard ki daulat-e-kasir hun main
jama kar kar ke apni mahrumi
ban gaya kis qadar amir hun main
mere zahir ko dekhne wale
ek baatin ghani faqir hun main
aazma le tu jis tarah chahe
hun to kam-maya ba-zamir hun main
tu hai anwar-e-be-karan tu bata
kis ka ek para-e-munir hun main
ye sawal ab tere bachao ka hai
teri khinchi agar lakir hun main
koi harf-e-talab na harf-e-sawal
aisa ek boriya-pazir hun main
teri kirnon ne tarbiyat ki hai
mana ek zarra-e-haqir hun main
KHatm mujh par hai infirad mera
aap apni hi ek nazir hun main
ek tahzib ke sahife ka
shayad ab hissa-e-aKHir hun main
'tarzi' karta hun phir rafu daman
yani ek said-e-tark-o-gir hun mein
(1168) Peoples Rate This