Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_dcbf29ec59c850127f4e7cdf506e5196, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Nazar Ki Wusaton Mein Kul Jahan Tha - Abdul Mannan Samadi Poetry In English - Darsaal

Nazar Ki Wusaton Mein Kul Jahan Tha

nazar ki wusaton mein kul jahan tha

zamin se dur kitna aasman tha

meri kashti bhanwar mein Dub jati

hawa ki mad pe lekin baadban tha

main us ki harf-giri kar na paya

wo meri zindagi ka raazdan tha

tujhe pa kar tujhe khoya hai hum ne

yahi to zindagi ka imtihan tha

wahi gum ho gaya raste mein shayad

jo rahbar tha jo mir-e-karwan tha

(1253) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nazar Ki Wusaton Mein Kul Jahan Tha In English By Famous Poet Abdul Mannan Samadi. Nazar Ki Wusaton Mein Kul Jahan Tha is written by Abdul Mannan Samadi. Read famous Poem Nazar Ki Wusaton Mein Kul Jahan Tha for youth and Student by Abdul Mannan Samadi. Free Download Nazar Ki Wusaton Mein Kul Jahan Tha in PDF.