Badalte Mausamon Mein Aab-o-dana Bhi Nahin Hoga
badalte mausamon mein aab-o-dana bhi nahin hoga
ki peDon par parindon ka Thikana bhi nahin hoga
baha le jaengi maujen kitab-e-zindagani ko
sunane ke liye koi fasana bhi nahin hoga
nawah-e-jaan mein ek din tum utar kar dekh bhi lena
tumhaare pas yaadon ka KHazana bhi nahin hoga
tasawwur ki hadon se dur ja kar kaise dekhenge
agar tum se talluq ghaebana bhi nahin hoga
khula dar chhoD aae the ki hijrat ka taqaza tha
wahan kya lauT kar jaen Thikana bhi nahin hoga
(1232) Peoples Rate This