Dil Apna Yaad-e-yar Se Begana To Nahin
dil apna yaad-e-yar se begana to nahin
goya ki KHali mai se ye paimana to nahin
manta hai meri baat to nazren mila ke sun
ye mera haal-e-zar hai afsana to nahin
hanste ho mil ke duniya se kya mere haal par
main aap ka diwana hun diwana to nahin
ai shama tujh ko jalna hai ab us ki aag mein
ek shoala tujh se lipTa hai parwana to nahin
danista mujh se jata hai ghairon ke samne
warna wo mere haal se begana to nahin
ai barq tujh ko dhoka hua mujh ko dekh kar
zalim qafas hai ye mera kashana to nahin
taskin-e-KHulq-e-saqi ko pita hun main sharab
meri nazar mein saqi hai paimana to nahin
pas-e-adab hai kya uThe aankh is ke ru-ba-ru
is mein sawal-e-jurat-e-rindana to nahin
jhukte hain us ko har jagah maujud pa ke 'soz'
dil mein hamare kaba-o-but-KHana to nahin
(1335) Peoples Rate This