Gham Ke Hathon Mere Dil Par Jo Saman Guzra Hai
gham ke hathon mere dil par jo saman guzra hai
hadisa aisa zamane mein kahan guzra hai
zindagi ka hai KHulasa wahi ek lamha-e-shauq
jo teri yaad mein ai jaan-e-jahan guzra hai
haal-e-dil gham se ye hai jaise kisi sahra mein
abhi ek qafila-e-nauha-garan guzra hai
bazm-e-doshin ko karo yaad ki is ka har rind
raunaq-e-bar-gah-e-pir-e-mughan guzra hai
pa-ba-gul jo the wo aazurda nazar aate hain
shayad is rah se wo sarw-e-rawan guzra hai
nigrani-e-dil-o-dida hui hai dushwar
koi jab se meri jaanib nigaran guzra hai
haal-e-dil sun ke wo aazurda hain shayad un ko
is hikayat pe shikayat ka guman guzra hai
wo gul-afshani-e-guftar ka paikar 'salik'
aaj kuche se tere ashk-fishan guzra hai
(1425) Peoples Rate This