Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_a615ae7ba71e79c580ebdc9c0545853d, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Sham-e-gham Aur Sitaron Ke Siwa - Abdul Majeed Bhatti Poetry In English - Darsaal

Sham-e-gham Aur Sitaron Ke Siwa

sham-e-gham aur sitaron ke siwa

ji sake hum na sahaaron ke siwa

talKHi-e-aKHir-e-shab kaun sahe

hijr mein dard ke maron ke siwa

be-ruKHi bhi to baja hai lekin

phul kya chiz hain KHaron ke siwa

kis ko fursat hai ki ho sair-e-chaman

mah-ru shola-eazaron ke siwa

rang duniya mein kai aur bhi hain

bahki bahki si bahaaron ke siwa

jaane jannat mein bhi kya rakkha hai

aise hi shoKH nazaron ke siwa

zindagi sab ko sada deti hai

han magar arz-guzaron ke siwa

(742) Peoples Rate This

Abdul Majeed Bhatti's More Poetry

Your Thoughts and Comments

Sham-e-gham Aur Sitaron Ke Siwa In English By Famous Poet Abdul Majeed Bhatti. Sham-e-gham Aur Sitaron Ke Siwa is written by Abdul Majeed Bhatti. Read famous Poem Sham-e-gham Aur Sitaron Ke Siwa for youth and Student by Abdul Majeed Bhatti. Free Download Sham-e-gham Aur Sitaron Ke Siwa in PDF.