Sae Phail Gae Kheton Par Kaisa Mausam Hone Laga
sae phail gae kheton par kaisa mausam hone laga
dil mein jo Thahrao tha ek dam darham-barham hone laga
pardesi ka wapas aana jhuTi KHabar hi nikli na
buDhi man ki aankh ka tara phir se maddham hone laga
bachpan yaad ke rang-mahal mein kaise kaise phul khile
Dhol baje aur aansu Tapke kahin moharram hone laga
Dhor Dangar aur pankh pakheru hazrat-e-insan kaTh kabaD
ek sailab mein bahte bahte sab ka sangam hone laga
sab se yaqin uThaya hum ne dost paDosi din tariKH
id-milan ko ghar se nikle shor-e-matam hone laga
(1274) Peoples Rate This