Panw Rukte Hi Nahin Zehn Thaharta Hi Nahin
panw rukte hi nahin zehn Thaharta hi nahin
koi nashsha hai thakan ka ki utarta hi nahin
din guzarte hain guzarte hi chale jate hain
ek lamha jo kisi tarah guzarta hi nahin
bhaari darwaza-e-ahan ki nahin khul pata
mere sine mein ye sannaTa utarta hi nahin
dast-e-jaan se main uTha lun use pi lun lekin
dil wo zahrab pyala hai ki bharta hi nahin
kya liye phirta hun main aab sarab aankhon mein
Dubta hi nahin koi ki ubharta hi nahin
ye pighalti hi nahin shama ki jalti hi nahin
ye bikharta hi nahin dasht ki marta hi nahin
kuchh na kahiye to bhala yun hi samajhte rahiye
puchh lije to wo aibon se mukarta hi nahin
(1222) Peoples Rate This