Ajib Shai Hai Ki Surat Badalti Jati Hai

ajib shai hai ki surat badalti jati hai

ye sham jaise maqabir mein Dhalti jati hai

chahaar samt se tesha-zani hawa ki hai

ye shaKH-e-sabz ki har aan phalti jati hai

pahunch sakunga fasil-e-buland tak kaise

ki mere hath se rassi phisalti jati hai

kahin se aati hi jati hai nind aankhon mein

kisi ke aane ki saat nikalti jati hai

nigah ko zaeqa-e-KHak milne wala hai

ki sahilon ki taraf naw chalti jati hai

(1287) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ajib Shai Hai Ki Surat Badalti Jati Hai In English By Famous Poet Abdul Hamid. Ajib Shai Hai Ki Surat Badalti Jati Hai is written by Abdul Hamid. Read famous Poem Ajib Shai Hai Ki Surat Badalti Jati Hai for youth and Student by Abdul Hamid. Free Download Ajib Shai Hai Ki Surat Badalti Jati Hai in PDF.