Ye Kaisi Sargoshi-e-azal Saz-e-dil Ke Parde Hila Rahi Hai
ye kaisi sargoshi-e-azal saz-e-dil ke parde hila rahi hai
meri samaat khanak rahi hai ki teri aawaz aa rahi hai
hawadis-e-roz-gar meri KHushi se kya intiqam lenge
ki zindagi wo hasin zid hai ki be-sabab muskura rahi hai
tera tabassum farogh-e-hasti teri nazar e'tibar-e-masti
bahaar iqrar kar rahi hai sharab iman la rahi hai
fasana-KHwan dekhna shab-e-zindagi ka anjam to nahin hai
ki shama ke sath rafta rafta mujhe bhi kuchh nind aa rahi hai
agar koi KHas chiz hoti to KHair daman bhigo bhi lete
sharab se to bahut purane mazaq ki bas aa rahi hai
KHirad ke TuTe hue sitare 'adam' kahan tak charagh bante
junun ki raushan rawish hai aaKHir dilon ko raste dikha rahi hai
(2289) Peoples Rate This