Wo Suraj Itna Nazdik Aa Raha Hai
wo suraj itna nazdik aa raha hai
meri hasti ka saya ja raha hai
KHuda ka aasra tum de gae the
KHuda hi aaj tak kaam aa raha hai
bikharna aur phir un gesuon ka
do-alam par andhera chha raha hai
jawani aaina le kar khaDi hai
bahaaron ko pasina aa raha hai
kuchh aise aai hai baad-e-muafiq
kinara dur haTta ja raha hai
gham-e-farda ka istiqbaal karne
KHayal-e-ahd-e-mazi aa raha hai
wo itne be-murawwat to nahin the
koi qasdan unhen bahka raha hai
kuchh is pakizgi se ki hai tauba
KHayalon par nasha sa chha raha hai
zarurat hai ki baDhti ja rahi hai
zamana hai ki ghaTta ja raha hai
hujum-e-tishnagi ki raushni mein
zamir-e-mai-kada tharra raha hai
KHuda mahfuz rakkhe kashtiyon ko
baDi shiddat ka tufan aa raha hai
koi pichhle pahar dariya-kinare
sitaron ki dhunon par ga raha hai
zara aawaz dena zindagi ko
'adam' irshad kuchh farma raha hai
(1664) Peoples Rate This