Wo Baaten Teri Wo Fasane Tere
wo baaten teri wo fasane tere
shagufta shagufta bahane tere
bas ek dagh-e-sajda meri kaenat
jabinen teri aastane tere
mazalim tere aafiyat-afrin
marasim suhane suhane tere
faqiron ki jholi na hogi tahi
hain bharpur jab tak KHazane tere
dilon ko jarahat ka lutf aa gaya
lage hain kuchh aise nishane tere
asiron ki daulat asiri ka gham
nae dam tere purane tere
bas ek zaKHm-e-nazzara hissa mera
bahaaren teri aashiyane tere
faqiron ka jamghaT ghaDi-do-ghaDi
sharaben teri baada-KHane tere
zamir-e-sadaf mein kiran ka maqam
anokhe anokhe Thikane tere
bahaar o KHizan kam-nigahon ke wahm
bure ya bhale sab zamane tere
'adam' bhi hai tera hikayat-kada
kahan tak gae hain fasane tere
(1540) Peoples Rate This