Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_1b1979fd8fa5b8e5eda85cfbdc369f91, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Un Ko Ahd-e-shabab Mein Dekha - Abdul Hamid Adam Poetry In English - Darsaal

Un Ko Ahd-e-shabab Mein Dekha

un ko ahd-e-shabab mein dekha

chandni ko sharab mein dekha

aankh ka e'tibar kya karte

jo bhi dekha wo KHwab mein dekha

dagh sa mahtab mein paya

zaKHm sa aaftab mein dekha

jam la kar qarib aankhon ke

aap ne kuchh sharab mein dekha

kis ne chheDa tha saz-e-masti ko?

ek shoala rubab mein dekha

log kuchh mutmain bhi the phir bhi

jis ko dekha azab mein dekha

hijr ki raat so gae the 'adam'

subh-e-mahshar ko KHwab mein dekha

(1776) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Un Ko Ahd-e-shabab Mein Dekha In English By Famous Poet Abdul Hamid Adam. Un Ko Ahd-e-shabab Mein Dekha is written by Abdul Hamid Adam. Read famous Poem Un Ko Ahd-e-shabab Mein Dekha for youth and Student by Abdul Hamid Adam. Free Download Un Ko Ahd-e-shabab Mein Dekha in PDF.